balihaari guru aapne, govind diyo bataaye.
maakhi gud mein gadi rahe, pankh rahe lapataaye,
haath male aur sir dhune, laalach buri balaae.
kabira sangat saadhu ki, jyo gandhi ki baas,
jo gandhi kuch de nahi, to bhi baas subaas.
bura jo dekhan main chala, bura na milayaa koy,
jo dil khoja aapanaa, mujhsaa bura na koy.
rahiman vipadaa hu bhali, jo thore din hoy,
hit anahit ya jag mein, jaani parat sab koy.
yo rahiman sukh hot hai, upkaari ke ang,
baatanvaare ke lage, jyon mehendi ke rang.
6 comments:
Great Dohe,s!!! I love them!! One Doha which literally excites me:
Duk Mein Sumiran Sab Karein. Duk mein karei na koi?
Jo Suk mein sumarin karai, Duk kaher ko hoi?!!
Nipun, Keep writing Dohes which are in your mind!!
Just to make it sure, these are written by Rahim :P
Both Rahim and Kabir rock!!!
I often get confused with their names!!!
:-)
Sahi he chodhri bhia , Sero-Sayari karne lag gaye <:3
maakhi gud mein gadi rahe....what does this doha mean
Maakhi gud me garhi rahe-----
It means as a fly gets disabled to do any other activity after it sits for long onto "gud".i.e Greedy intentions.Similarly humans should be ware of by not engulfing themselves in greedy activities. K R AHUJA.
Post a Comment